Vo Jisse Pyaar Kehte Hain

Story Info
Ek aisa romance jisne badal di jindagi.
906 words
2.5
7.2k
00
Share this Story

Font Size

Default Font Size

Font Spacing

Default Font Spacing

Font Face

Default Font Face

Reading Theme

Default Theme (White)
You need to Log In or Sign Up to have your customization saved in your Literotica profile.
PUBLIC BETA

Note: You can change font size, font face, and turn on dark mode by clicking the "A" icon tab in the Story Info Box.

You can temporarily switch back to a Classic Literotica® experience during our ongoing public Beta testing. Please consider leaving feedback on issues you experience or suggest improvements.

Click here

Monday ka din, Keval 10 km ka rassta ghar se Andheri mein office tak, Rajesh ko hamesha 25 min hi lagte the. Aaj aisa lag raha tha ki ye raasta kabhi khatam hi nahi hoga. Aaj kuch aisa jarur tha jo thik nahi tha, kuch missing sa lag raha tha. Itna ashant vo kabhi nahi hua. Kuch na kuch adchane aati jaa rahi thi abhi aadha rassta bhi tai nahi hua tha aur use lag raha tha jaise janmon se bike chala raha ho. Umasdar vatavaran uske gusse ko chaar chand lagane laga. Har signal pe rukna padta aur vo 'timing' ko gali deta. Haan ye galat timing ki hi baat hai, varna itne saare jhanjhat ek saath kaise aur vo bhi achanak.

Rajesh darasal ek hafte baad office jar aha tha. Uski sagai Punjab ki ek khubsurat ladki Simiran ke saath pichle hafte hui thi.

Use malum tha jis matrimonial website company mein vo adv.-sales manager hai vahan sab uski baal ki khal nikal nikal kar sawal karenge. Aur yehi vo bilkul nahi chahta tha.

Shadi naam soch kar hi log nayi aane wali jindagi ke bare mein kalpanayen karne lag jaate hain, ek nayi umnang, ek naya utsah unme bhar jaata hai, lekin Rajesh ke liye aisa nahi tha. Ye sagai usne jabardasti apne maa baap ke kehne pe kari thi jo Amritsar rehte hain. Sagai ke baad hi khush hone ki jagah ek ek kar ke sari uljhane samne aane lagi jo uski jindagi ki kitab mein dabi padi thi.

Kya vo shadi karne ke liye mansik roop se tayaar hai? Kya Simiran uske liye sahi ladki sabit hogi .Kya uska taal mel uske saath baith jaiga, ky vo uske saath adjust kar payegi, ya vo khud uske saath adjust kar payega. Kya aaj ki duniya mein arranged marriage kamyab hogi? Pata nahi kya kyaswal uske dimag mein uthne lage jis ki vajah se kabhi kabhi vo kahin aur kho jaata aur uski ekagrata par farak padne laga. Is karan vo red light cross kar gaya, shukra hai koi accident nahi hua, lekin constable ne bahut khush ho kar,uski bike ka no. note kar liya. Aur Rajesh bike dodhata chala gaya, constable ki harkat ko najar-andaj karte hue,jo hoga dekha jayega.

Police kahin rok na le is liye usne apni speed bada di. Abhi mushkil se 1km hi aage gaya tha ki bike rokni padi, samne local MP ka jalus jaa raha tha jo uske 15 min kha gaya. Maje ki baat ye vo MP usi sarkar ke khilaf jalus nikal raha tha jiska vo khud member tha.

Is rukavat ki vajah se uske dimag mein fir kai sawal khade ho gaye apni fiancé Simran ke bare mein aur apne boss Murthi ke bare mein. Age badne pe eke k kar har signal par use rukna pada ho, roj use hari jhandi dikhaya karte the. Aisa lag raha tha jaise uske khilaf koi conspiracy kari jaa rahi ho -- 'Bad Timing'.

Har signal par jab bike rukti to vo apni shakl backview mirror mein jarus dekhta . Apni looks ke liye bahut hi conscious tha.

Kuch der baad use bahut hi kasht sa mehsus hone laga. Ek dar dimag mein ghar kar gaya. Sochne par mehsus kiya ki dehydration ho rahi hai. Par aise kyun ho raha hai, shayad aaj bahut pasina aa raha hai isliye. Dopahar se pehle hi tapmaan 39 ko chu raha tha aur umas bhi bahut jayada thi.Uski dimagi haalat aur bigadne lagi jaise jaise use aur pasina aata gaya.

Apni bike pe chalte hue , vo umeed kar raha tha ki is jaanleva garmi se kab chukara milega, kab Mubai ka Monsoon shuru hoga.Ye uska pehla Monsoon hoga Mumbai mein. Usne Mumbai ki bearish ke bare mein bahut suna tha aur Hindi movies mein bhu bahut dekha tha. Ab May ke aakhri hate mein, Mumbai ki tiasmi barish jayada dur nahi thi, kuch hi hafton mein shuru ho jayegi.

Kuch pal ke liye usne Simran aur khud ko is barish ka maja lete hue socha.Fir is khayal ko dimag se jhatak diya, kya vo dono sach mein romantic lagenge Mubai ki baarish mein bheegte hue -- jaise Shah Rukh aur Kajol lagte hain DDLJ mein.

Koi bhi agar uske dimag mein ghumti hui in baato ko jaanta to nisandeh use pagal karar kar deta.

Aisa hi haal tha uske dimag ka jab vo office se kuch hi duri pet ha.

Jab Rajesh office mein ghussa to usne office kafi khali paya. Kam se kam ek tihai staff gayab tha. Apni chirparichit muskan ke saath Payal -- receptionist- ne uska swagat kiya. Rajesh ko kuch gadbad lag rahi thi aur Payal ki battisi se kuch pata nahi chalne wala tha. Vo Aryan ke office ki taraf lapka to office khali tha.

'Aryan sahib, bade boss ke cabin mein hain' peon ne bataya.

Aryan ke office mein baith kar wait karna hi use uttam laga, taaki bade boss ka samna karne se pehle current stihti ka pata chal jaye. Air Conditioned office mein wait karte hue bhi vo pasine se sarabor ho raha tha, aur bahar ki garmi se jayada pasina to AC mein aa raha tha. Shadi.com ke logo ko ghurte hue vo tanavgrast hote hue apne nakhun chabane laga.

Shadi.com ka dava tha ki kam se kam 10000 shadiya duniya bhar mein is portal ke dwara hui hain aur 2 million se jayada registered log hain .

Please rate this story
The author would appreciate your feedback.
  • COMMENTS
Anonymous
Our Comments Policy is available in the Lit FAQ
Post as:
Anonymous
Share this Story

Similar Stories

It’s All-Good Epilogue to 'Something We Have to Talk About'.in Loving Wives
Party Affiliations Desperate wife is changed through sinister plot.in Erotic Couplings
Charlie's Shoes Coveting another man's wife just might lead to grief.in Loving Wives
Love, Betrayal, Love Ch. 01 Greg and Katie, a bittersweet love story.in Loving Wives
Bill and Sally Is cheating the answer to Sally's dissatisfaction?in Loving Wives
More Stories