Yeh Us Raat Ki Baat Hai

Story Info
A suicidal man has a life-changing experience.
1.5k words
5
1.2k
00
Share this Story

Font Size

Default Font Size

Font Spacing

Default Font Spacing

Font Face

Default Font Face

Reading Theme

Default Theme (White)
You need to Log In or Sign Up to have your customization saved in your Literotica profile.
PUBLIC BETA

Note: You can change font size, font face, and turn on dark mode by clicking the "A" icon tab in the Story Info Box.

You can temporarily switch back to a Classic Literotica® experience during our ongoing public Beta testing. Please consider leaving feedback on issues you experience or suggest improvements.

Click here

This is the English transliteration. You can read the original story in Hindi here: https://other.literotica.com/s/2958785

************************************************************************************

Main us waqt ki kahani batane jaa raha hoon jab maine pehli baar apne aap ko vaanchhit mehsoos kia. Yun toh main voh kaarya kar chuka tha jis se koi bhi bekaboo yuvak bach nahi paya tha, par woh din alag the. Tab mujhe sirf ye jaanne ki utsukta thi ki textbooks mein jise sex kaha jaata hai woh vaastavikta mein hota kya hai. Aur usse zyaada zaroori, kaise hota hai. Kya karte hain ladka aur ladki jab woh akele hote hain?

Ek chhote shehr ke, conservative samaaj mein rehne wale, chhote mote business karne wale ke bete ke liye, in sawaalon ka jawaab milna asaan nahi tha. Nahi main dikhne mein kuch khaas aakarshak tha. Phir bhi, shehr ke un ayogya ilaqon mein, jahaan koi izzatdar insaan pair nahi rakhta, wahaan woh aasaani se bik jaata hai, jiske baare mein hum baat karna pasand nahi karte. In sambandhon ke liye na bhavnaye zaroori hoti hain, na hi saundarya. Aur kuch chand rupyon ke liye apni zaroorat puri ki ja sakti hai. Us basti mein mera aana jaan khoob saalon tak chala.

Kabhi kabhi lagta tha ki shaayad inhi gunahon ki saza kaat raha hoon. Ek din jab main yahi anaitik kaam karne ke baat ghar lauta toh aakhirkaar samajh aaya ki sab kuch badal chuka tha. Papa ke chalne ke baad main dukaan ko sambhaal nahi paaya. Ghar bikhra pada hota tha. Maa har maan chuki thin, na kuch bolti thin, na kuch theek se khaati thin. Kuch waqt baad woh bhi papa ke paas chalin gayin.

Isi beech, jab ek ladki se pyaar kia, toh jaati se tallin samaaj ne woh jaadu dikhaya jisse woh gaayab hi hogayi. Main aaj tak nahi jaanta woh kahaan hai aur kaisi hai. Lekin ab woh bohot purani baat ho chuki hai. Koi pyaari si, akarshak ladki toh door ki baat, kisi bhi ladki ke saath shaam bitaye arsa ho gaya.

Is sab ke baad laga ki is dunya ko meri zaroorat nahi hai. Jab main kisi ke liye faydemand hi nahi to mere zinda rehne ka kya fayda? Agar main yahin jaan de doon, toh kareebi logon ki samasyaen badh jayengi. Jaate jaate doosron ki peedha kyun badhana?

Yahi soch kar main bhaag aaya desh ke sabse bade shehr ko. Jahaan roz kaiyon aatmahatya karlete hain, jahaan train ke tracks par roz dus baara log marjaate hain, aur kaiyon ki hatya ho jati hai. Kisi ko farak nahi padta. Un shehrwalon ki zindagi tezi se lagi rehti hai.

Jab main central station par pahuncha, toh yahi tha dimaag mein ki aisi jagah dhund loonga jahaan zyaada attention na mile. Riksha mein ghoomte ghoomte, kayi jagah chaantne ke baad, ek pul dikha jahaan neeche nadi seedhe samandar mein jaa mil rahi thi. Mat poochna kyun, yeh to main bhi nahi jaanta, par maine isi jagah ko chuna, aur waapas station laut aaya.

Der baje jab puri tarah se sannata chaa gaya, main nikla us pul ki or. Badi mushkil se ek taxi mili, jiske driver ne mujhe sweekar liya.

"Naye ho? Kahaan se aaye ho?"

"Woh main..."

"18 saal se yahaan hoon. Kanpur se aaya tha. Tab se taxi chala raha hoon. Wahaan kyun jaa rahe ho? Roz koi paagal marne aa jaata hai. Aur gormint kuch karti hi nahi."

"Nahi...main..."

"Jo bhi hai. Dekh rahe ho kitne camre lage hain aaj kal? Mujhe police ke chakkar nahi kaatne hain. Radio chaloo karun?"

Aur isi tarah Lata ji gaane lagin:

"Shab-e-intezaar akhir...shab-e-intezaar akhir...

Kabhi hogi mukhtasar bhi...Kabhi hogi mukhtasar bhi..."

Us raat maine apne aap se kaha: aaj tumhara bhi chiraagh bujh jayega.

Main pul ke saamne utra, aur dheere dheera us par chal pada. Baarish ke din the, aur khoob pani barasne ke baad thand badh chuki thi. Halki halki si dhundh thi. Us waqt meri mansik stithi aisi thi, ki us raat jo bhu kuch hua woh kaalpanic tha ya vaastavik, ye kehna sambhav nahi hai. Mujhe itna yaad hai ki jab main pul ke beech mein pahuncha toh main akela nahi tha.

**********************************************************************************************************

Footpath par ek ladki baithi hui thi. Usne safed rang ka lehenga pehen rakha tha, jo ab bohot purana ho chuka tha. Chhote aasteen ka blouse jiska gala bohot gehra tha. Jiski nazar wahaan padti, woh use dekhta hi reh jaaye. Agar nazar aur neeche gayi toh uski kamar ko choone ka man kare.

Baal bikhre pade the. Laal rang ki lambi heels road par padi thin. Ek kaale rang ka chhota bag uske bazu mein rakha tha. Chehre se lag raha tha mano kuch der pehle ro rahi thi. Uski akhon se kaajal beh chuka tha, lekin gaal par uski nishani chhod gaya tha. Uske daayen haath mein jalti hui cigarette ka dhuaan hawa mein phail raha tha.

Jab main us ke paas pahuncha, toh woh meri or mudi, aur upar se neeche tak ek lambi nazar khenchi. Phir apne joote hataye, aur uske paas baithne ka ishaara kiya. Main uski sundarta se sammohit ho kar chup chaap uske baazoo baith gaya. Tab usne cigarette ko bujha kar mujhse kaha, "Tu bhi marne aaya hai kya?"

"Tumhe dekh kar lagta hai tum bhi wahi karne aayi ho"

Itni zor se hansi ke jo aas paas ke awaare kutte so rahe they, woh jaag gaye.

"Main yahaan roz aati hoon. Dhanda karne ke baad yahaan accha lagta hai. Hawa acchi lagti hai."

Woh mujhe phir se taakne lagi. Uski nazrein baar baar neeche ki or jaa rahin thi.

"Sher sunega? Makhdoom Mohiuddin ne likha hai...

"Ishq ke shole ko bhadkao ki kuch raat kate...

Dil ke angaare ko dahkao ki kuchh raat kate..."

Phir se hasne lagi.

"Randi lagti ho aur baat sahitya ki karti ho"

"Randi padi likhi nahi ho sakti kya? Chhod, bata, marna kyun chahta hai?"

"Koi vajah hi nahi hai." Main nahi jaanta kyun lekin mujhe laga ki main usse baat kar sakta hun.

Uski aankhen ghabra uthin.

Woh mere aur paas ayi, mere chehre par haath haath rakha, aur angoothe se hont ko sehlaane lagi.

"Jeene ke vajah nahi hai? Tujhe nahi lagta, ki agar is duniya ko teri zaroorat nahi hoti, toh upar wala khud hi tujhe khatam kar deta?"

Maine is ka jawaab nahi diya.

"Aisa ganda muh kyun bana raha hai...naastik hai kya?"

"Main nahi jaanta koi upar wala hai ya nahin"

Usne kuch nahi kaha. Dheere dheere usne apna angootha mere muh mein dala aur mujhe yeh achha lagne laga. Phir mera sir pakda aur mere kaan ko chaatne lagi. Main hairaan hi reh gaya jab usne halke halke se kaanon ko kutarna shuru kia.

"Mere paas is ke liye paise nahi hai" maine kaha, jab yaad ayaa ki shaayad mujhe iske liye chukana padega. Mere shabdon ko nazarandaaz karte hue, woh meri t-shirt ke andar se mujhe sehlaane lagi aur chhati ko choomne lagi aur upar aate aate gale ko pehle dheere, phir baad mein zor ke kaatne lagi.

Shaayad usne ye mehsoos kar liya tha ki woh mujhe puri tarah se uksaane mein kamyaab ho gayi thi, kyunki uske haath turant mere badhte hue ang par pahunch gaye the. Pehle toh sirf usne bina kuch kiye wahaan apna haath rakha, shaayad mujhe aur uttejit karne ke liye. Uske baad kab pant ki button khuli aur kab mujhe mere nichhle hisse ke kapdon se vanchit kardiya mujhe yaad nahi. Jab mein us stabhdh se utha, toh...

Uski ungliyaan ang ke atraaf lipti hui thin. Mazboot pakad. Dheeri chaal. Upar. Niche. Phir upar, phir neeche. Dheere dheere apni chaal tez karte gayi, aur jab mein puri tarah se utsuk ho chuka tha, toh upar ka hissa munh mein liya aur usey chubhlaane lagi. Samaapti ki or badhne laga toh doosre haath se gotiyon ko halke se malne lagi.

Main karaahne laga...zor se...aur zor se...phir aur zor se.

Phir shaanti.

Thak kar main zameen par leta gaya, lekin abhi bhi nanga hi tha. Haanp raha tha.

Jab uski taraf dekha toh woh apne bag se ek dasti nikaal kar apne haath ponch rahi thi. Maine apni pant upar ki, shirt aur baal theek kiye. Woh uthi, aur apne aap ko sambhaala. Baal-waal, kapde wagaira theek kiye. Joote pehen liye.

Main abhi bhi leta hua hi tha. Woh mere paas ayi, ghutne teke, sir ek taraf jhukaya aur muskurayi. Phir maathe par ek chhota sa bosa chhod gayi. Phir uthi, aur jaane lagi.

"Ruko. Tumhara naam kya hai?" Maine usse poochha.

Usne na jawaab diya, na peeche mudke dekha. Main bus use apne se door jaata dekhta hi reh gaya.

Jab aankh khuli toh subah ho chuki thi. Kisi ne mujhe theek se kinare par sthith kar diya tha. Foothpath par bohot sare log chal rahe the. Gaadiyaan, buses, aur motorbikes sab pul par jame hue the, aur traffic ki dhool aur horn ki awazen hawa ko pradushit kar rahe the. Kuch raah chalte log mujhe daya ki nazron se dekh kar chhutte gira kar jaa rahe the.

Aur isi tarah zindagi chalti rahti hai...

Please rate this story
The author would appreciate your feedback.
  • COMMENTS
Anonymous
Our Comments Policy is available in the Lit FAQ
Post as:
Anonymous
Share this Story

Similar Stories

यह उस रात की बात है ज़िन्दगी से निराश युवक को एक अजीब अनुभव होता हैin Non-English
Bombay Dreams A young Indian man with his maid.in Erotic Couplings
The Rainy Night: A Hinglish Erotic A rainy night with his neighbor.in Erotic Couplings
Alpa, A Sweetest Thing Kitchen, it was right place, right time.in Erotic Couplings
सबरीना की बस की मस्ती Sabrina has sex with young goon & involves her daughter too.in Erotic Couplings
More Stories