Zindagi

PUBLIC BETA

Note: You can change font size, font face, and turn on dark mode by clicking the "A" icon tab in the Story Info Box.

You can temporarily switch back to a Classic Literotica® experience during our ongoing public Beta testing. Please consider leaving feedback on issues you experience or suggest improvements.

Click here
Meriaiza
Meriaiza
13 Followers

Ali:"Pyaar koyi karobaar toh nahi jis ka nafa nuksaan souch kar kiya jaye. Yeah toh dil main janam lene wala ek aesa ahesaas hai joh lakhoun croroun ke bech main bas ek chere ko man main basa leta hai. Bhool jao hum dono ke darmiyaan ke farak ko. Bas yeah dekho ke tumhare samne joh khada hai woh bhi tumhari tarha ek insaan hai jis ke seene main tumhare liye hi dil dhadakta hai. Kya tumhare dil main bhi mere liye pyaar hai? Kya tum bhi mujhe us dewangi se hi chati ho jaise main tumhe chahata hoon?" Ek baar phir dono ke beech main khamosi a gayi. Dimaag tha ke keh raha tha Sneha na chal aese raste par jis ki manzil koyi nahi aur dil tha ke keh raha tha ke jis safar main hamsafar hi sath na ho uski manzil pe pohanch jane ka bhi kya faida?

Sneha:"Main bhi tumhe buhat chahati hoon." Dil aur dimaag ki is jang main aakhir kameyabi dilki hi huyi. Sneha ne sharma kar apni palkyain jhuka li aur uske khoubsurat gaal sharmahat ki waja se lal ho rahe the. Ali ka dil toh khusi se pagal ho raha tha yeah sun kar. Usne bade pyaar se Sneha ka hath thaam liya.

Ali:"Tum souch bhi nahi sakti Sneha ke aaj tum ne mujhe kitni badi khushi di hai. Main wada karta hoon ke tumhe kabhi tanha nahi chouronga."

Sneha:"Mujhe tumhara aur tumhari mohabat ka aetabaar hai par Ali main apni zimedariyoun pe moun naho moor sakti."

Ali:"Aare keh koun raha hai tumhe? Tumhare mata pita kya mere mata pita nahi? Main wada karta hoon ke tumhara sahara banounga aur tum hari sab zimedariyaan aaj se meri hain. Hum mil ke in sab ko nibhayenge." Uski baat sun kar Sneha ki aankhoun se do aanso chalak gaye. Par yeah aanso khushi ke the. Ali ne bade pyaar se uske chaehre se aanso pouch diye.

Ali:"Aare pagli ab rona kesa? Ab toh hum apne jevan ka aghaaz karenge. Jitna rona tha ro chuki, ab tumhari aankhoun main aanso nahi aane chahiyain." Yeah sun kar Sneha kar chehra khil utha. Bhagwaan ke ghar deer hai par andhear nahi. Woh souch rahi thi ke woh kitni khushnaseeb hai ke itna pyaar karne wala hum safar mil gaya hai usse.

Ali:"Aare kahaan kho gayi? Chalo ab kya yahin bethe rehna hai? Ghar chakte hain."Yeah keh kar usne Sneha ke hath se uska suitcase pakra aur garhi main rakhne laga. Thodi hi deer main dono Ali ke ghar ki janib garhi main beth kar jane lage. Kya un donoun ke naye jeavan ki yeah shuruwaat thi?

Thodi deer baad dono Ali ko ghar pohanch gaye. Uske pita Aslam sahaab dukaan pe the aur aam toor pe toh bade bhai Imraan bhi utne baje kaam pe hote the par us din tabiyaat kuch kharaab hone ki waja se ghar pe ruk gaye the. Drawing room main Sneha ko betha kar Ali uske liye cold drink lene chala gaya. Ushi duraan Imraan miyaan bhi unki awaaz sun kar kamre se nikal aaye. Joh dekha toh ek ladki apne suitcase ke sath drawing room main bethi huyi thi. Dukaan daroun ki yadashat buhat paki hoti hai. Ek nazar main hi pehchaan gaye ke yeah wohi ladki hai joh Ali ke sath unki dukaan pe aayi thi. Woh duniyadaar banda tha aur ek nazar main hi bhanap gaya ke majra kya hai?

Imraan ne ek nazar main hi pehchaan liya ke yeah wohi ladki hai joh Ali ke sath unki dukaan pe aayi thi. Woh duniyadaar banda tha aur ek nazar main hi bhanap gaya ke majra kya hai? Sneha ne jab Imraan ko wahaan khade usse ghorte dekha toh thoda ghabra gayi. Us din dukaan pe Ali ne bataya tha ke yeah uske bade bhai hain is liye yeah toh usse pata tha ke woh koun hain?

Sneha:"Namaste" Usne dhere se unhe dekh kar kaha. Imraan bagir koyi jawaab diye seedha rasoyi ki taraf chalne lage. Jab wahaan gaye toh dekha ke unki dharam patni pakore tal rahi thi aur Ali glasoun main cold drinks daal raha tha. Ek toh pehle hi se tabiyat kharab thi upar se Sneha ko aese dekh kar usse najane kyun ghusa bhi char gaya tha.

Imraan:"Main pouch sakta hoon ke yeah kya ho raha hai?" Us ne ghuse se poucha toh uski dharam patni ne usse shanat karane ki koshish ki.

Aisha:"Kya kar rahe hain aap? Ghar main mehmaan aayi hai kuch toh khayaal ki jiye."

Imraan:"Bin bulaye mehmaanoun se kese peesh aate hain mujhe bakhobi pata hai. Tum beech main mat bolo."

Ali:"Bhai dhere boliye. Yeah fazoul ka tamasha karne ki kya zarorat hai?"

Imraan:"Main tamasha kar raha hoon? Yeah ladki jisse tum uske boriye bistre ke sath ghar le aaye ho woh kya koyi kum tamasha hai?"

Ali:"Main koyi bacha nahi hoon bhai aur bakhobi janta hoon ke kya sahi hai aur kya tamasha hai? Yeah ghar mera bhi utna hai jitna aap ka hai is liye mujh par roop jharne ki koyi zarorat nahi." Ali bhi ab toh ghuse main aa chauka tha aur uski awaaz bhi Imraan ki tarha unchi ho gayi thi. Dosri taraf uski bhabi sehmi huyi dono bhaiyoun ko dekh rahi thi aur man hi man dua kar rahi thi ke woh dono shant ho jayain. Pakore teel main ab jalne lage the par koyi dehaan nahi de raha tha.

Imraan:"Ab tumhari zubaan bhi nikal aayi hai? Bolo kis rishte is usse ghar le aaye ho? Kya bhaga ke laye ho usse? Is ghar ko samjh kya rakha hai tumne?"

Ali:"Aap ko koyi haq nahi pohanchta mujh se sawaal jawaab karne ka. Abba ko ghar aane dain phir main unse khud baat kar longa."

Aisha:"Imraan please aap mere sath chalain. Aapki pehle hi tabiyat theak nahi. Yeah sab batain Abba jaan ke aane ke baad bhi toh ho sakti hain." Imraan ko ghusa toh buhat charha huwa tha par woh dekh chuka tha ke Ali bhi ghusse se aag bagola huwa hua hai. "Ek baar abba ghar aa jayain tab dekhta hoon ke iski zubaan kya aese hi chalti hai?" yeah couch kar woh ghusse se pair patakhta huwa apne kamre ki aur chal para aur Aisha bhi uske peche peche chal parhi. Ali ne cholha band kiya aur apne ghusse ko shanat karne laga. Thodi deer baad joh uska mood theak huwa toh cold drinks aur mithayi le kar drawing room ki aur chalne laga. Jab wahaan pohancha toh dekha ke Sneha nahi thi. Woh bechari toh jab zoor zoor se awaaz aani shuru huyi thi tab hi chupke se ghar se bahir chali gayi thi.

Ali uska pecha karte phir na aa jaye is liye usne jaldi se ek taxi ko roka aur us main sawaar ho gayi aur apna mobile bhi off kar diya. uski zindagi toh pehle hi muskiloun ka shikaar ho gayi thi aur woh ab apni waja se usse bhi pareshaan nahi karna chahati thi. Ek baar phir wohi tanhayi ka ahesaas wapis chala aaya. Aaj chand hi ghentoun main dosri baar woh apne aap ko itna akela mehsoos kar rahi thi. Ab ek baar phir ek aese safar pe chal pari thi jis ki manzil ka kuch pata nahi tha. "Galti meri hi hai joh aese uske ghar chali gayi. Theak hi toh tha uska bhai. Bhala kounsi shareef ladki aese kisi ladke ke ghar bina kisi rishte ke samaan band kar chali jati hai? Main ab apne aap ko youn totne nahi dongi. Main yahaan apne pariwaar ka sahara banne aayi thi aur yeah hi meri zindagi ka laksya hai. Pyaar mohabat ki is main koyi gunjaish nahi." Yeah hi batain woh souchte huwe tanha zindagi ke safar main ek nayi aur chal pari. Aaj kal ke nujawaan pyaar main andhe ho kar chand taare toor lane ki baatin toh aasaani se kar lete hain par zindagi ki sachaiyoun ko jane kyun bhula dete hain? Yeah bade bade wade bemaiyani shabdoun se zyada kuch bhi toh nahi hote.

Woh har moor pe sath dene ke wade

Woh ek duje ke liye jaan de dene ki kasmain

Thi sab bekaar ki batain the sab jhote kisse

Ek din calling center pe ek chori si party rakhi gayi. Party ki tiyari ka zimma Kiran ko de diya gaya. Sarhad ne uski madad karne ka poucha toh Kiran ne haan kar di. Dono agle din party ka samaan lene bazaar chale gaye. Ab ek choti si party ke liye kounsi koyi buhat zyada chezoun ki zarorat thi? 1 ghente main hi woh samaan le kar farigh ho gaye. Sarhad ne himat kar ke Kiran ko khane ka pouch hi liya.

Sarhad:"Kiran agar bura na manao toh mujhe toh buhat bhook lag rahi hai. Aap ne bhi abhi khana nahi khaya hoga mujhe lagta hai. Yeah samne hi toh restaurant bhi hai. Agar aap bura na manayain toh kya chal ke thori peet puja kar li jaye?"

Kiran:"Is main bura manane wali kya baat hai? Chalo chalte hain." usne thora sa muskura ke jawab diya. Sarhad dekhne main jaisa lagta tha uski waja se shuru shuru main toh Kiran ko ajeeb sa laga. Phir usne yeah bhi mehsoos kiya ke woh har waqt uski aur hi dekhta rehta tha. Lekin jaise jaise kuch saame beta uski souch Sarhad ke bare main badalne lagi. Kisi ne sach hi kaha hai ke roop rang hi sab kuch nahi hota. Thode hi aarse main woh ache dost bhi ban gaye the. Yeah alag baat thi ke Kiran ne is dosti ko office tak hi rakha. Kuch mahine pehle joh huwa tha uska dard uske sharear se toh chala gaya tha par shayad hamesha hamesha ke liye uske zehan main reh gaya tha. Kiran ke andar us din ke baad buhat badlao aa gaya tha lekin uski zindagi main toh phir bhi kuch khaas badlao nahi aaya aur aata bhi kese? Kiran ne apni khuwahisyain marni chur kar di thi par apni zarortoun ka toh kuch nahi kar sakti thi na? Ghar pe bhodi maa ki tabiyat din badin kharaab hoti ja rahi thi aur doctor aur dawaiyoun ke kharche the ke aasmanoun ko cho rahe the. Uski call center ki tankha se yeah sab kahaan chalne wala tha? Na chahate huwe bhi Manoj ki rakheal ban ke usse rehna par raha tha. "Kya kabhi main is jahanam zindagi se chutkara le paoungi?" Aesa woh aksar souchti thi aur buhat baar toh aatma hatya ke khayaal bhi zehan main aaya par usse pata tha ke uski mout ka sadma uski maa na seh payegi. Jis maa ne uske liye itna kuch kiya usse woh tanha kesa chor ke ja sakti thi? Apne halat ki waja se bebas woh wese hi jene lagi jaisa ke Manoj chahata tha. Woh nahi chahati thi ke kabhi bhi koyi ladka uske irdh girdh nazar aaye aur Manoj ke andar ka wehsi phir jaag jaye. Ishi liye woh bus pakad leti thi par Ali and Sneha ke sath garhi main nahi bethti thi aur ab Sarhad ko bhi zyada pas nahi aane de rahi thi. Phir bhi dhere dhere hi sahi par un dono main dosti gheri hoti ja rahi hi. Shayad is ki ek waja yeah bhi thi ke Kiran ne kabhi bhi usse apne jisam ko dosre mardoun ki tarha hawas bhari nazaroun se dekhte nahi dekha tha. Jab bhi usne dekha ke woh uski taraf dekh raha hai, uski aankhoun main Kiran ko kuch aur hi mehsoos huwa. Na jane woh kya jazbaat the par hawas toh hargiz na thi. Uski batoun main bhi sachayi mehsoos hoti thi aur aese zyada bande toh Kiran ne dekhe na tha. Tha toh Ali bhi aadat ka acha banda par woh toh pagloun ki tarha Sneha se pyaar karta tha. "Ajab baat hai ke Sneha ke ilawa sab dekh sakte hain ke Ali uske payaar main kese deewana bana huwa hai?" Woh souch kar muskarane lagi. Restaurant main zyada rash nahi tha aur unko aaraam se ek kone pe meez mil gayi aur dono ne khane ka order de diya.

Sarhad:"Yahaan mere sath aane ka shukriya." Usne thora sa sharma ke kaha. Uska yeah hi bholapan toh Kiran ko acha lagta tha.

Kiran:"Is main kounsi badi baat hai? Phir bhi itna hi ahesan maan rahe ho toh mera bill bhi bhar dena." Aaj bhi Kiran ka chanchalpan kabhi kabhaar wapis aa hi jata tha. Wese muskurati huyi Sarhad ko woh buhat achi lagi. Is Kiran ko toh hi woh bachpan se dekh raha tha par pechle kuch aarse se woh jaane kahaan kho gayi thi? Jahaan ek taraf woh uski sanjedgi aur dosre ladkoun ko pas na aane dene ki waja se buhat khush tha wahaan sath hi sath woh is shook chanchal Kiran ko miss bhi karne laga tha.

Sarhad:"Ji zaror. Is se barh ke mere liye aur khushi kya hogi? Wese agar aap bura na manayian toh ek baat kahaoun?"

Kiran:"Keh ke dekhyi phir souchoungi ke bura manane wali baat hai ke nahi?" Kuch saamekeliye hi sahi par woh Manoj, apne halaat sab ko bhool ke in sab chezoun se aazaad ek dost ke sath baat cheat ka maaza le rahi thi.

Sarhad:"Aap younhi hanste muskurate achi lagti hain. Sanjedha na raha karain zyada." Uski is baat ne jane kahaan se Kiran ke andar chupe ghumke taar ko phir se chair diya tha.

Kiran:"Yeah hansi kab sath deti hai? Agar zyada hanso bhi toh aankhoun se aanso nikal aate hain. Jab ke ghum agar duniya main aap ke sath aur koyi bhi na ho tab bhi aap ka sath nahi chorte." Yeah keh kar woh toh chup hi gayi aur na jane kin khayaloun main kho gayi par uski baat ka Sarhad pe ghera asar huwa. Is khobsurat chanchal ladki ne apne dil pe kitne ghum chupa kar rakhe huwe hain inka ahesaas pehli dafa usse tab huwa. "Main yeah toh nahi janta ke kya cheaz tumhe itna pareshaan kar rahi hai Kiran par haan yeah wada zaror karta hoon ke ek din tumhe in ghamoun se chutkara dila kar hi dum longa." Yeah wada dil hi dil usne apne aap se kiya.Ali bhaag ke ghar se bahir nikla par Sneha kahin nazar nahi aa rahi thi. Woh jaldi se apni gaadi main beth kar Sneha ko dhoondne laga lekin woh toh gayab hi ho gayi thi. Mobile pe bhi phone kiye lekin mobile bhi Sneha ne band kar diya tha. Uski pareshani gusse main badalne lagi aur yeah gussa ghar ja kar woh Imraan pe nikalne laga. Aslam sahab joh ghar pohanche toh ek jang ka sa saama tha. Unke dono betoun ki awaaz se ghar gounj raha tha aur sath hi sath unki bahu ke rone ki awaaz bhi mehsoos ho rahi thi. Pareshani se bhag kar woh jis simat se shor aa raha tha wahaan pohanche toh dekha ke Imraan ke kamre ke bahir dono bhaiyoun ne ek dosre ka girebaan pakra huwa hai aur ek duje ko bura bhala keh rahe hain. Un se thori hi door bechari Aisha royi ja rahi thi. Aslam sahab ko dekhte sath hi woh bhag kar unke pas aayi air rote rote kaha.

Aisha:"Abba ji dekhiye na yeah dono kya kar rahae hain?"

Aslam:"Yeah kya ho raha hai?" Unhoun ne goonjti huyi awaaz main joh kaha toh unke dono bete unki aur dekhne lage. Unhe dekhte sath hi dono ne ek duje ke girebaan chor diye.

Aslam:"Main pouchta hoon ke yeah ho kya raha hai?" Unke yeah kehne ki deer thi ke dono unchi unchi apni kahani sunane lage.

Aslam:"Chup kar jao tum dono! Bahu tum batao kya huwa hai?" Aisha jaldi jaldi joh kuch bhi huwa batane lagi. Jab woh saara kisa suna kar chup ho gayi toh kuch deer ke liye khamoshi cha gayi. Aakhir Aslam sahab ne yeah khamoshi tori.

Aslam:"Imraan kya yeah hi tameez sikhayi hai tumhe maine? Aur Ali kya tum itne bade ho gaye ho ke apne bhai ke girebaan pakarne lago?"

Imraan:"Yeah ghar main aese kisi bhi ladki ko le aaye aur main chup chaap tamasha dekhta rahoun kya?" Usne gusse se poucha.

Aslam:"Awaaz aahesta karo! Kya sahi hai aur kya galat uska faisla lene ke liye abhi tumhara baap zinda hai. Agar yeah us ladki ko ghar le bhi aaya toh ek ghar aaye huwe mehmaan ke sath badtamezi karte tumhe sharaam nahi aayi?" Yeah sun kar Imraan ne apna sar jhuka liya.

Aslam:"Koun ladki thi woh Ali sach sach batao?" Yeah sun kar Ali Sneha ke bare main sab kuch batane laga. Jab woh saari kahani suna chuka toh Aslam sahab ne poucha.

Aslam:"Kya tum usse pyaar karte ho?"

Ali:"Ji baba."

Aslam:"Tum apni parhayi pe dehaan do aur uski fikar mat karo. Jaise hi tumhe pata chale ke woh kahaan hai mujhe bata dena. Main uske rehne sehne ka bandobast kar donga. Aage tum dono ka kya karna hai yeah mujhe souchne ke liye waqt do. Aur haan ek baat kaan khol ke tum dono sun lo. Aaj ke baad is ghar main aesa koyi tamashaa huwa toh tum dono ko ghar se nikaal donga. Ab jao door ho jao meri nazroun se." Woh sab toh apne apne kamroun main chup kar ke chale gaye par Aslam sahaab souchne lage "Koun hai yeah ladki aur iska ab kya kiya jaye?"

Ab kahin na kahin toh jana hi tha par jaye toh jaye kahaan? Akhir taxi wale ko ek ghar ka pata bata ke wahaan chalne ka usne keh diya. Sneha ne apni ankhain band kar li thi aur dimaag main koyi khayaal nahi aane de rahi thi. Aese main usse taxi driver sheshe se uski chati ki taraf dekh lalchayi huyi nazroun se dekh raha hai yeah bhi nazar nahi aaya. Thodi deer baad taxi ruki toh usne apni aankhain khol di aur taxi wale ko uske pese de kar utaar gayi. Ab toh uski sabhi umeedain hi toot chuki thi. Yahaan se bhi inkaar huwa toh woh kya karegi yeah souchna bhi nahi cha rahi thi par sath hi sath dil main ab koyi umeed bhi nahi bachi thi. Aese main dhere se usne ghar ki ghenti baja di. Thodi hi deer main Kiran ne ghar ka darwaza khool diya. Sneha ko dekhte hi uska chehra chamak utha.

Kiran:"Sneha! Toh aur yahaan? Kya rasta bhool gayi aaj?"

Sneha:"Kuch aesa hi samjh lo."

Kiran:"Aare pehle andar toh aa beth kar batain karte hain." Yeah keh kar woh toh thoda hat gayi lekin jab Sneha ghar main dakhil ho rahi thi toh uske purane suitcase par pehli baar Kiran ki nazar parhi. Ab woh bachi toh thi nahi. Samjh gayi ke kuch toh garbarh hai. Dono seheliyaan ja kar drawing room main beth gayi.

Kiran:"Toh beth main tere liye chaiye le bana kar lati hoon." Yeah keh kar woh uthne lagi toh Sneha ne hath se pakad liya.

Sneha:Rehne de bas thodi deer mere pass hi beth ja." Uski aankhoun main ubharte huwe aanso dekh kar ab toh Kiran bhi pareshaan ho gayi aur samjh gayi ke zaror koyi badi baat huyi hai. Usne kiran ko gale se laga liya jaise hi uski aankhoun se aanso behne lage aur thodi deer usse rone diya. Aansoun se Kiran ka wese bhi purana rishta tha. Woh janti thi ke ek baar yeah beh gaye toh man thoda shant ho jayega. Thodi deer baad usne dhere se poucha

Kiran:"Bas bas aese rote nahi hain. Kya huwa hai mujhe bata?" Aanso pounchte huwe Sneha joh kuch bhi huwa usse batane lagi aur tab chup ki jab sab kuch bol chuki thi.

Kiran:"Roti kyun hai? Tujhe toh khush hona chahiye ke us churail se teri jaan chuti. Rahi baat Ali ki toh is main uska bhi toh kasoor nahi hai na? Tujhe th mere pas forun aa jana chahiye the. Apne baap ke ghar main bina kisi samband ke woh tujhe rak bhi kese sakta tha? Chal ab pareshaan na ho aur iske ab apna hi ghar samjh." Yeah sunte sath hi Sneha ne kiran ko gale se laga liya aur ek baar phir uski aankhoiun se aanso behne lage par is baar yeah khushi ke aanso the.

Sneha:"Main tera yeah ahesaan kabhi nahi bholoungi. Aaj jab sab darwaze band ho gaye toh toh bhi sath na deti toh jane mera kya hota?"

Kiran:"Dosti main kesa ahesaan? Haan par ek samaseya hai."

Sneha:"Kya?" Usne ghabra ke poucha.

Kiran:"Upar ke kamra toh karaye pe charha hua hai. Tujhe mere sath hi kamre main mere bostar pe sona hoga."

Sneha:"Aare is kikya zarorat hai? Main neche zameen pe kapra bicha ke so jaoungi na."

Kiran:"Chal ab mother India na ban aur ghabra na double bed hai mera. Pita ji ne mere jaheaz ke liye kharead ke rakha tha. Ab uspe tere sath suhaagraat manongi." Kiran ke sath Sneha bhi hansne lagi aur usse gham ke badal chatne lage. Thodi deer baad Kiran ne Sneha ko apni mata se milaya aur unhe bataya ke woh ab unke sath hi rahe gi. Unki tabiyaat din ba din mehngi dawaoiyoun ke bawajood bigir rahi thi aur ab toh woh zyada bol bhi nahi pati thi. Pyaar se bas apna hath Sneha ke sar pe rakh ke usse aashirwadh de diya. Unhe dekh kar Sneha ko bhi uski maa ki yaad aa gayi. Jane uske mata pita kese honge woh souchne lagi? Kabhi kabhaar hi unse woh baat kar pati thi aur ab toh baat kiye huwe kafi din ho gaye the. Mamta ke phone se usne ek baar hi bas phone kiya tha aur Mamta ke chehre ke tewar dekh kar na siraf phone jaldi band kar diya balke dobara usse phone karne ki jurat bhi nahi huyi. Jab se naukri mili thi mobile lese ke baad 2-3 baar phone toh usne kiya tha lekin call bhi toh mehngi parti thi aur uske apne chote mote kharche pehle hi muskil se pure ho rahe pehle hi.

Kiran:"Chal toh fresh ho ja phir thodi deer main kaam pe bhi jane ka waqt hone wala hai. Main chaiye banati hoon." Sneha moun hath dhone ke baad rasoyi main chali gayi. Kiran ne bhi chaye paka li thi. Woh dono drawing room main aakr chahe pene lagi. Sneha ne apna mobile phone khola toh usse Ali ki 16 miss calls aayi huyi thi. "Kya mujhe usse baat karni chahiye." Woh abhi aesa souch hi rahi thi ke mobile bajne laga."

Kiran:"Ali ka phone hai na? Utha le woh bhio tere liya pareshaan hoga." Yeah sun kar Sneha ne phone utha liya.

Sneha:"Hello"

Ali."Sneha khuda ka shukar hai tum ne phone toh uthaya. Main toh buhat pareshaan ho gaya tha. Kahaan ho tum batao main tumhe lene aa raha hoon. Mere bhai ki taraf se main mafi mangta hoon. Abba ne bhi usse khoob danta hai. Ho sake toh maaf kar do please."

Sneha:"Maafi kesi Ali? Theak hi toh woh keh rahe the."

Ali:"Buhat naraaz ho na? Batao toh sahi ho kahaan?"

Sneha:"Main Kiran ke ghar main hoon aur ab yahin rahoungi. Please Ali behas nahi karna pehle hi mere sar main dard ho rahi hai. Hum kal College main baat karte hain." Yeah keh kar usne phone kaat diya. Koyi 15 minute baad joh woh dono ghar se nikalne lagi toh ghar ki ghenti baji. Kiran ne darwaza khool ke dekha toh Ali ke walid Aslam sahaab wahaan khare the.

Meriaiza
Meriaiza
13 Followers