Zindagi

PUBLIC BETA

Note: You can change font size, font face, and turn on dark mode by clicking the "A" icon tab in the Story Info Box.

You can temporarily switch back to a Classic Literotica® experience during our ongoing public Beta testing. Please consider leaving feedback on issues you experience or suggest improvements.

Click here
Meriaiza
Meriaiza
13 Followers

Is duraan Aslam sahab ne apna wada pura kiya aur har mahine na sirf Kiran ko Sneha ka karaya pohanchate rahe balke Sneha ke lakh mana karne ke bawajood usse jeeb kharach bhi dene laga. Sneha joh kuch ab naukri se kamati thi woh apne ghar bhejne lagi. Uske pita ko shuru main toh acha nahi laga lekin beti ke israar par maan gaye. Kuch hi aarse baad Sneha ko ek aur achi khabar bhi mili jab uski choti behan ke liye ek buhat hi acha rishta aaya. Badi behan ko behaye bina choti ke hath kese pele kar dain yeah chinta toh Dena Nath ji ko huyi par aaj kal ke zamane main ache rishte woh bhi ghariboun ko milte hi kahaan hain? Phir kya tha unhoun ne baat paki kar di. Ladka London main achi naukri pe laga huwa tha aur uske ghar wale jald hi uski shadi ek achi ladki se karna chahate the ke kahin bigar na jaye aur pardes se kisi din bahu ki jaga apne sath unke liye damaad na le aaye. Master Dena Nath ji bhi khush the ke ek beti shehar main apne pairoun pe khadi ho gayi hai aur sath sath parhayi bhi mukamal kar rahi hai toh dosri ki shadi hone wali hai. Rahi sahi chinta is baat ne door kar di thi ke ladke waloun ne dahej lene se mana kar diya tha. Itna andaza toh unko bhi tha ke bechare master ji dena chahain bhi toh de hi kya sakhte hain? Ek toh ladke waloun ko shadi ki jaldi thi dosra master ji bhi is zimadari se mukti chahate the. 2 mahine baad ki shadi ki tarikh paki kar di gayi jab ladke ne sardiyoun ki choti pe shadi karne aana tha. Sab kuch theak ho raha tha par ghariboun ki zindagi main khushiyaan bhi ghum ki chadar aaur kar aati hain. Rishta paka kiye abhi 2 hafte bhi nahi guzre the ke master sahab ko dil ka dora para aur woh beti ki khushiyaan dekhne se pehle hi Bhagwaan ko pyare ho gaye. Sneha aur uske ghar waloun par toh jaise ghum ka pahaar hi toot gaya. Khabar milte sath hi woh pehli train se Nainital ki pohanch gayi. Jab is baat ka Aslam sahaab ko pata chala toh woh bhi apni gari se Nainital Kiran ko le kar pohanch gaye. Wahaan pohanch kar master ji ke kriya karam ki saari zimadari unhoon ne khud hi utha li. Sneha aur uski maa behan ko toh unka apna hoosh na tha toh bhala yeah sab kahaan se kar pate? Khud Aslam sahaab ne pas hi ke ek hotel main apne liye kamra le liya tha. Na toh Sneha ke ghar main mehmanoun ke liye koyi kamra tha aur na hi unhoun ne theak samjha aese un pe bojh banna. Wese bhi logoun ka kya hai? Na jane kya kyabatain banane lag jayain? Master ji ke kriya karam ke 2 din baad Aslam sahaab Sneha ke ghar bethe chai pi rahe the aur aese main unhoun ne Sneha ki mata se woh baat kar di joh woh bhi apne zehaan main souch rahi thi.

Aslam:"Itne jaldi yeah kehte theak toh nahi lag raha par aap toh samjhti hi hongi ke is batoun se moun bhi phera nahi ja sakta. Aap ne Megha ki shaadi ke bare main kya soucha hai?"

Pooja:"Pata nahi bhai sahaab kuch samjh hi nahi aa rahi. Unhain bhi tiyariaan karte muskil ho rahi thi toh bhala main kese yeah sab kar paoungi? Samjh hi nahi aa raha kya karoun? Tarikh bhi toh aage nahi kar sakti ke ladke waloun ne toh card tak chapwa liye hain. Darti hoon ke aage karne ka kahoun toh kahin rishta hi na toot jaye. Wese bhi aaj kal ache rishte milte hi kahaan hain bhala?"

Aslam:"Aap theak kehti hain. Wese bhi chahe ab karin yaan saal baad, kaam toh utna hi hai. Agar aap bura na manayain toh main yeah zemadari sambhalna cha raha tha. Pesoun wagira ki aap fikar na karain main sab sambhaal longa." Jahaan yeah sun kar ek taraf toh Pooja ki aankahain chamak uthi wahaan sath hi yeah ahesaas bhi ho gaya ke yeah theak nahi hai. Sneha Aslam sahaab ke bare main sab kuch Pooja ko bata chuki thi. Hone wale sambandhi se aese kaam lena aur phir ushi ko pese kharchne dena Pooja ko theak nahi lag raha tha. Sath hi sath yeah bhi such hai ke har maa ki tarha dil toh uska bhi tha ke beti ki shadi dhoom dhaam se kare. Gharib hone se koyi khowahishayain mar toh nahi jati balke gariboun ke liye toh yeah chand khoshiyaan jaise ke bachoun ki shadi se barh ke kuch aur hota hi nahi.

Pooja:"Nahi nahi yeah theak nahi. Pehle hi aap ne itna kuch kiya hai ke samajh nahi aati ke aap ke ahesanoun ka badla kese chuka paoungi?" Kamzoor si awaaz main usne yeah keh diya. Yeah sun kar Aslam Sahaab ko bhi andaza ho gaya ke woh cha kya rahi hai aur such kehte usse kyun sharmindgi mehsoos ho rahi hai.

Aslam:"Maine aaj tak wohi kiya joh mera faraz banta hai. Agar main nahi karounga toh aur koun karega? Aap yeah pese rakh lain aur Megha beti aur apne liye kapre banwane shuru kar dain. Main Sneha ko le kar kal shehar wapis ja raha hoon aur jald hi aur pesoun ka bandobast kar ke yahaan aa ke shadi ki sab zimadari sambhaal longa." Sneha bhi wahin pas hi bethi yeah sab sun rahi thi. Kiran Megha ke sath kisi kaam se bahir gayi huyi thi. Usse bhi samjh nahi aa rahi ke kya kahe? "Sach main Ali buhat hi khushnaseeb hai joh itne ache pita mile usse. Kaash pita ji in se mil pata?" Woh souchne lagi. Pooja toh Aslam sahaab ki baat sun kar bas apni majbori par rone lagi. Aslam sahaab aur Sneha ne unhe chup kar aaya. Aslam sahaab ne Pooja ko koyi 2 lakh pakra diye. Naukri aur college ki samaseya na hoti toh itne jaldi wapis jane ko Sneha ka man toh nahi kar raha tha par jana para. Aslam sahaab dono lakiyoun ko sath le kar wapis Delhi aa gaye. Kiran ke ghar pohanchne par jab Kiran ne unhe chai ki sula maari toh woh bhi unke sath ghar main aa gaye.

Aslam:"Kiran beti agar aap bura na manao toh main Sneha se kuch akele main baat karna chahata tha."

Kiran:"Ji uncle aap baat kar lain main bazaar se kuch khane ke liye le aati hoon." Yeah keh kar woh chali gayi tph SNeha unke sath drawing room main beth gayi.

Aslam:"Sneha aap ke sath thode hi aarse main jitna kuch huwa uska mujhe buhat dukh hai. Khaas kar aap ke pita ke dehaant ka. Kaash main aap ki kuch madad kar sakta hota par zindagi mout pe kis ka zoor hai?"

Sneha:"Aesa na kahain. Aap ne toh pehle hi itne kuch kar diya hai aur abhi bhi itna kar rahe hain jab apnoun main se koyi madad ke liye aage nahi barha."

Aslam:"Yeah duniya aesi hi hai bas. Kya paraye aur kya apne, sab ka hi khoon safeed ho chuka hai. Ishi liye main aap ko yeah kehna cha raha hoon ke aap hi ko apne pariwaar ka ab sagara banna parega. Par is choti si umaar main yeah boojh aap ke liye buhat zyada hai yeah bhi ek such hai. Aese main aap ko ek mazboot sahare ki zarorat hai. Aap ko apni khushi se barh kar apni maa behaan ki khushi ke bare main souchna parega. Agar aap ko aetraaz na ho toh woh sahara main banna chahounga."

Sneha:"Main samjhi nahi...."

Aslam:"Sneha main aap se shadi karna chahata hoon."

Aslam:"Sneha main aap se shadi karna chahata hoon." Yeah sun kar Sneha ka toh moun khola ka khola reh gaya aur woh kanpne lagi. Uski yeah halat Aslaam sahaab ne bhi mehsoos kar li.

Aslam:"Sneha mujhe galat nahi samjhna. Meri bewi ko guzre kitne hi saal beet gaye hain. Akele hi bachoun ko maa baap dono ka pyaar aur sath hi sath kaam ka saara bojh bhi maine khud hi ne uthaya hai. Agar bas shadi hi karni hoti toh woh toh kab ki kar sakta tha. Maine toh apni khowahisyain hi apne andar hi maar li thi. Aap ko joh dekha toh yeah ahesaas huwa ke abhi bhi mere andarka insaan zinda hai. Thak gaya hoon main zindagi ke safar main akele chalte chalte. Kya mujhe haq nahi ke apne bare main bhi souchoun?" Yeah keh kar dhere se unhoun ne Sneha ka hath thaam liya.

Aslam:"Sneha main tumhara sahara banna chahata hoon. Main janta hoon ke tum mujh se pyaar nahi karti par dhere dhere karne lago gi. Main tum se wada karta hoon ke tumhari har muskil main tumhara sath donga. Kabhi bhi zindagi main tumhare pe koyi takleef nahi aane donga. Tumhare sath tumahare pariwaar ka bhi puri tarha se dehaan rakhounga. Aaj mera hath thaam lo, wada karta hoon zindagi main kabhi thokar nahi khane donga. Sneha kya tum mere se shadi karogi?" Ab tak Sneha ka agar kanpna thoda kum ho bhi gaya tha toh joh ho raha tha woh usse kisi bhayanak sapne se kum nahi lag raha tha. Sneha toh lagta tha apni awaaz hi kho bethi thi yeah sab sun kar. Man main kitne hi sawaal uth rahe the jaise "Yeah kya keh rahe hain aap? Ali ke bare main toh souchain?" Wagira wagira par uske moun se ek shabad bhi nikal nahi pa raha tha. Aslaam sahaab ne aakhir yeah khamoshi khud hi todi.

Aslam:"Koyi baat nahi Sneha mujhe aap ki khamoshi ne jawaab de diya hai joh shayad aap nahi de pa rahi. Main hi shayad bewakoof hoon joh apne man main joh kuch bhi tha aap ko saaf saaf bata diya. Kher agar aap ko mere pyaar ki kadar nahi toh koyi baat nahi main samjh sakta hoon. Agar ho sake toh itna ahesaan toh akr di jiyega ke joh kuch maine kaha hamre beech main rehne dijiega. Kiran bhi aati hogi, behtar hai uske aane se pehle main chala jaoun. Aap fikarmit ki jiye aainda aap ko kabhi pareshaan nahi karounga." Yeah keh kar Aslaam sahaab uthe aur darwaze ki taraf chal diye.

Sneha:"Ru...rukiye." Aslam sahaab yeah sun kar wahin ruk gaye. Badi muskil se apne ap ko kabu main karte huwe Senha ne kaha

Sneha:"Mujhe yeah shadi kabool hai." Aslaam sahaab ki toh yeah sun kar khusi ki koyi inteha hi nahi rahi.

Aslam:"Sneha mujhe pata tha ke main joh souch raha hoon woh galat nahi. Aap bhi bhi apni khushi se mujh se shadi karna chahati hain yeah jaan kar mujhe jitni khushi huyi hai iska aap andazzanahi laga sakti." Sneha yeah sun kar chup hi rahi.

Aslam:"Agar aap bura na manayain toh kal hi Shadi kar lete hain. Aap ki behan ki shadi ka saame bhi sar pe aata ja raha hai. Wahaan ja kar aap ke shohar ke tor par jab main sab kuch karounga toh log bhi batain nahi karenge. Kya aap ko koyi aetraaz toh nahi?"

Sneha:"Nahi......jaise aap ki marzi."

Aslam:"Theak hai aap phir mujhe ijazat dain main chal kar shadi ki tiyaariyaan karta hoon. Kal subha aap ko lene aa jaounga." Yeah keh kar woh toh jaldi se chale gaye par Sneha ki aankhoun main ruka huwa aansoun ka silaab behne laga. Uske moun se koyi awaaz nahi nikal rahi thi bas aansoun ka dariya beh raha tha. Har aanso main aarmanoun ki ek laash beh rahi thi. Thosi deer baad Kiran joh khana lekar aayi toh Sneha ko is haal main dekh kar uski aankhain phati ki phati reh gayi. Badi muskil se usne Sneha ko chup karaya aur us se poucha ke huwa kya hai? Sneha ne usse joh kuch bhi huwa bata diya.

Kiran:"Tera dimaag toh kharaab nahi ho gaya? Yeah kya karne lagi hai toh? Pesoun ke liye apne pyaar, khushiyoun sab ko kurbaan kar rahi hai? Aur Ali ka kya? Soucha hai uske dil pe kya bete gi jab jise woh pagloun ki tarha chahata hai uske baap se hi shadi kar legi? Pagal ho gayi hai kya?"

Sneha:"Agar apni burhi maa aur behan ka sahara banna pagalpan hai toh haan main pagal ho gayi hoon. Joh kuch bhi tohne kaha sab ka mujhe pata hai par kya yeah sab batain un kurbaniyoun se barh kar hain joh mere mata pita ne di? Kya main unke liye apni ek khushi kurbaan nahi kar sakti?" Yeah sun kar Kiran ki aankhoun se aanso behne lage. Usne bhi toh kya kuch apni maa ke liye kiya tha. Aaj jab woh us zindagi se nikal hi aayi thi toh Sneha ke sath yeah hota dekh uska dil ghum se phatne laga.

Kiran:"Ruk main abhi aayi." Apne aanso saaf karte huwe woh wahaan se chali gayi. Thori deer baad joh woh aayi toh hath main kuch tha.

Kiran:"Kaash main teri madad kar sakti hoti par.......kher chor. Yeah chota sa tofa meri taraf se rakh le. Maa ne bade pyaar se mere liye le kar rakhi thi. Mujhe badi khushi hogi agar yeah saree kal toh pehan le. Dekh inkaar na karna." Sneha yeah sun kar Kiran se lipat kar rone lagi.

Agli subah Kiran ne hi Sneha ko tiyaar kiya. Kal un aansoun main sab kuch beh gaya tha. Ab na toh Sneha ki aankhoun main koyi aanso the aur na hi man main koyi jazbaat. Aslam sahaab sab tiyaariyaan toh kar hi chuke the. Unke wakil ne thodi hi deer main court main dono ki shadi karwa di. Aslam sahaab ne Sneha ke liye ek makaan bhi karaye pe le liya tha. Wahin shadi ke baad Sneha ko le gaye. Shadi ke baad na sirf Sneha ne Naukri chor di balke College bhi chor diya. Wese bhi ab na toh uske koyi sapne bache the aur na hi armaan. Shadi ko 3 din beet gaye the aur ab 2 din baad woh Nainital jane wale the. Burhape main aarmaan pure bhi kar lo toh burhapa toh nahi jata na? Aslaam sahaab bhi ghar main ghode beech kar so rahe the jab ghar ki ghenti baji. Sneha ne ja kar jab darwaza khola toh samne Ali khada tha. Usse dekh kar Sneha ka toh khoon hi sokh gaya.

Ali:"Andar aane ke liye nahi khogi?" Yeah sun kar sneha peche hat gayi aur Ali ghar ke andar aa gaya.

Sneha:"Ali main..."

Ali:"Bas Sneha kuch mat kehna. Aur koyi jhoot main bardashat nahi kar paounga. Main ja raha hoon yahaan se hamesha ke liye. Jane se pehle kuch tumhare liye tha joh de kar jana chahata tha. Soucha tha tumhe shadi ke baad donga. Bas yeah hi toh karne aaya hoon aaj." Yeah keh kar jeeb se ek sone ka kada nikaal kar Ali ne Sneha ko thama diya aur mur kar ghar se bahir jane laga.

Sneha:"Ruk jao Ali. Mujhe ek baar sach kehne ka mouka toh do. Dekho toh sahi ke us kamre main joh banda so raha hai woh hai koun?" Yeah sun kar Ali ne usse palat kar joh dekha toh uski aankhoun main aanso the.

Ali:"Shadi mubarak ho Mrs.Aslam." Yeah keh kar woh ghar se nikal gaya. Aanso ab ruk nahi pa rahe the aur dil tha ke lagta tha phat hi jayega. Manzil kya thi kuch pata nahi tha par is beewafa shehar se woh door bhag jana chahata tha. Man se bas ek hi awaaz nikal rahi thi......

Aaj jis pyaar main pagal phirte ho

Kal us se hi dil turwaoge

Aaj jin doston ki dosti pe naaz hai

Kal un se hi peeth pe chura khaoge

Hai matlab ki duniya saali

Yahaan koyi kisi ka yaar nahi

Upar se yeh zindagi bhi hai bewafa

Kab saans saath chor jaye koyi aetbaar nahi

Zindagi ko jitna samajhne ki koshish karoge

Utna hi iski uljhanon main ulajh jaoge

Aaj jis maut se dar ke bhage phirte ho

Ek din woh bhi aayega

Jab isko bhi zindagi se zyada haseen paoge

The End

Meriaiza
Meriaiza
13 Followers
Please rate this story
The author would appreciate your feedback.
  • COMMENTS
Anonymous
Our Comments Policy is available in the Lit FAQ
Post as:
Anonymous
5 Comments
AnonymousAnonymousover 7 years ago
Excellent

Excellent romantic story,I had not read such a great story for a while

AnonymousAnonymousover 9 years ago
Very erotic story

This is very interesting story. Many girls are lured to sex in their teen age; and many married women fall in a trap for sex outside their marriages.

sweeeet77sweeeet77over 10 years ago
OMG!

What a shit story!!

Please don't waste others' time by writing such bull shit.

sarhadsarhadover 12 years ago

Good story. rated it as well :)

MeriaizaMeriaizaover 12 years agoAuthor

My first story on Literotica. Hopefully you guys will like it.

Share this Story

Similar Stories

Gaon ki kuwari bahuein villages' virgin girlsin Mature
Meri Suhaag Raat How his wife will describe their first night.in First Time
My Fantasy Ch. 01 Many bollywood/tollywood stars in his fantasy. (Urdu)in Celebrities & Fan Fiction
Rahul aur Pooja ki Kahani Husband ne apni biwi ko share kiya.in Loving Wives
Two Pussy and One Dick Fir usne apne hath se mera lun pakad kar nisha bhabi ke chut.in Group Sex
More Stories